Khatam-e Nabuwat - 0 views
-
Muslim Academy on 14 Jan 13Nabuwat Hazrat Adam A.S say shuru hui aur Hazrat Muhammad S.A.W.W par hatam hui. Nabi S.A.W.W kay baad na he koi nabi aya hai na he koi aye ga. Khatam-e-Nabuwat ka aqeeda Islam kay bunyaadi akaiid mai say hai. Jiska matlab hai kay Nabi S.A.W.W (Khaatimun Nabiyeen) hain, yani ALLAH kay akhri nabi. Nabuwat Aap S.A.W.W par hatam kar di gae hai. Jo insan es aqeeday par imaan nahe rakhta wo musalmaan nahe. Nabuwat ka matlab hai ALLAH kay tmaam Ambiya par imaan lana unki taleemat par amal karna. Allah kay tmaam Ambiya masoom aur gunnah say balatar hain. Sub Ambiya nay ALLAH ka paigham insaano tak puhnchaya, kay ALLAH ek hai, wahe ibadat kay laaik hai. Hazrat Noah, Hazrat Ibrahim, Hazrat Ismail, Hazrat Suleman, Hazrat Dawood, Hazrat Essa su